Waqt Ka Kuchh Ruka Sa Dhaara Hai

waqt ka kuchh ruka sa dhaara hai

tum ne shayad mujhe pukara hai

tum na aaoge ye bhi hai malum

chand yaadon ka bas sahaara hai

un ki yaadon ke chand phulon se

chaman-e-taza dil hamara hai

aaj hum ne to de ke jaan apni

zindagi tera qarz utara hai

un ki nazron ne zaKHm-e-dil ko mere

mundamil kar ke phir ubhaara hai

log kahte hain us ko bhi shabnam

sar-e-mizhgan jo ek sitara hai

phir bhi hasil sukun nahin 'aslam'

umr bhar hasraton ko mara hai

(643) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Waqt Ka Kuchh Ruka Sa Dhaara Hai In English By Famous Poet Aslam Azad. Waqt Ka Kuchh Ruka Sa Dhaara Hai is written by Aslam Azad. Read famous Poem Waqt Ka Kuchh Ruka Sa Dhaara Hai for youth and Student by Aslam Azad. Free Download Waqt Ka Kuchh Ruka Sa Dhaara Hai in PDF.