Aag Jo Dil Mein Lagi Hai Wo Bujha Di Jae

aag jo dil mein lagi hai wo bujha di jae

phir koi taza ghazal aaj suna di jae

zinat-e-jism bane ruh ko chhalni kar de

aisi har rasm zamane se miTa di jae

sunte hain ishq ka bazar bahut garm hai phir

qimat-e-husn zara aur baDha di jae

ek jhalak ke liye sau bar sar-e-baam gaya

aatish-e-shauq ko kuchh aur hawa di jae

raaz sine mein daba hai jo sar-e-bazm kahun

sirf ek bar mujhe us ki raza di jae

zindagi dhup mein jalte hue kaTi jis ne

saya mil jae koi us ko dua di jae

ja-ba-ja aks meri aankhon mein ubhre jis ka

us ki taswir bhi ab dil se haTa di jae

waqt aajil hai safar tul hai dam aankhon mein

ruKH-e-jaanan se naqab ab to uTha di jae

tishnagi aankh ki kam ho koi surat nikle

pas-e-parda hi jhalak kash dikha di jae

munjamid koh-e-nida par hai taghaful se tere

hiddat-e-chashm-e-karam us pe luTa di jae

muskuraate hue sar sine pe rakh kar bole

maraz-e-ishq hai lazim hai dawa di jae

ye bhi mumkin hai magar tab ki wo KHud aa ke kahe

baat jo dil ko dukhati hai bhula di jae

(1489) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aag Jo Dil Mein Lagi Hai Wo Bujha Di Jae In English By Famous Poet Asra Rizvi. Aag Jo Dil Mein Lagi Hai Wo Bujha Di Jae is written by Asra Rizvi. Read famous Poem Aag Jo Dil Mein Lagi Hai Wo Bujha Di Jae for youth and Student by Asra Rizvi. Free Download Aag Jo Dil Mein Lagi Hai Wo Bujha Di Jae in PDF.