KHizan Ka Mausam

zawal par thi bahaar ki rut

KHizan ka mausam uruj par tha

udasiyan thin har ek shai par

chaman se shadabiyan KHafa thin

un hi dinon mein thi main bhi tanha

udasi mujh ko bhi Das rahi thi

wo girte patton ki sukhi aahaT

ye sahra sahra bikharti haalat

hami ko meri kuchal rahi thi

main lamha lamha sulag rahi thi

mujhe ye irfan ho gaya tha

haqiqat apni bhi khul rahi thi

ki zat apni hai yun hi fani

jo ek jhaTka KHizan ka aae

to zindagi ka shajar bhi is pul

KHamosh-o-tanha khaDa milega

mizaj aur KHush-rawi ke patte

dilon mein logon ke misl-e-sahra

phirenge mare ye yaad ban kar

kuchh hi dinon tak

magar muqaddar hai un ka fani

ke lakh patte ye shor kar len

mizaj mein sar-kashi bhi rakh len

ya girya kar len udas ho len

to farq use ye bas paDega

zamin un ko sameT legi

zara si phir ye jagah bhi degi

karishma qudrat ka hai ye aisa

uruj par hai zawal apna

har ek ko hai palaT ke jaana

(1984) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHizan Ka Mausam In English By Famous Poet Asra Rizvi. KHizan Ka Mausam is written by Asra Rizvi. Read famous Poem KHizan Ka Mausam for youth and Student by Asra Rizvi. Free Download KHizan Ka Mausam in PDF.