Yun Paband-e-salasil Ho Kar Kaun Phire Bazaron Mein

yun paband-e-salasil ho kar kaun phire bazaron mein

KHud hi qaid na ho jaen kyun apni hi diwaron mein

raat ke lamhon ki sangini dil ko Dasti rahti hai

jism sulagta rahta hai tanhai ke angaron mein

raushniyon ke shahr andheron ke jadu mein Dub gae

bujhne lagi ho nur ki mashal jaise chand-sitaron mein

dard ke tapte sahra mein ek aabla-pa sar-gardan hai

tum ko kya tum jashn manao KHushiyon ke gahwaron mein

main koi suqraat na tha jo zahr ka pyala pi jata

main KHud kaise Dub sakunga apne lahu ki dhaaron mein

shahr ki rahen raqs-kunan hain rang faza mein bikhra hai

kitne chehre saje hue hain in chamkili caron mein

(1279) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yun Paband-e-salasil Ho Kar Kaun Phire Bazaron Mein In English By Famous Poet Asrar Zaidi. Yun Paband-e-salasil Ho Kar Kaun Phire Bazaron Mein is written by Asrar Zaidi. Read famous Poem Yun Paband-e-salasil Ho Kar Kaun Phire Bazaron Mein for youth and Student by Asrar Zaidi. Free Download Yun Paband-e-salasil Ho Kar Kaun Phire Bazaron Mein in PDF.