Aaj Bhi Jis Ki KHushbu Se Hai Matwali Matwali Raat

aaj bhi jis ki KHushbu se hai matwali matwali raat

wo tere jalte pahlu mein thi jaan nikalne wali raat

subh se tanha tanha phirna phir aaegi sawali raat

aur tere pas dhara hi kya hai ai meri KHali KHali raat

dil par barf ki sil rakh dena nagan ban kar Das lena

apne liye donon hi barabar kali ho ki ujali raat

pile patte sukhi shaKHon par bhi to akasr chamka chand

mujh se milne kabhi na aai teri naz ki pali raat

dekh liye aankhon ne meri taza shabnam basi phul

garche subh ko meri KHatir tum ne mujh se chhupa li raat

tum is ko sona kahte ho tum kya hum bhi kahte hain

apni thaki palkon par hum ne lamha bhar jo sambhaali raat

aane wali aa nahin chukti jaane wali ja bhi chuki

waise to har jaane wali raat thi aane wali raat

(737) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaj Bhi Jis Ki KHushbu Se Hai Matwali Matwali Raat In English By Famous Poet Ataur Rahman Jameel. Aaj Bhi Jis Ki KHushbu Se Hai Matwali Matwali Raat is written by Ataur Rahman Jameel. Read famous Poem Aaj Bhi Jis Ki KHushbu Se Hai Matwali Matwali Raat for youth and Student by Ataur Rahman Jameel. Free Download Aaj Bhi Jis Ki KHushbu Se Hai Matwali Matwali Raat in PDF.