Kya Baat Nirali Hai Mujh Mein Kis Fan Mein AaKHir Yakta Hun

kya baat nirali hai mujh mein kis fan mein aaKHir yakta hun

kyun mere liye tum kuDhte ho main aisa kaun anokha hun

wo lamha yaad karo jab tum is qalb-sara mein aae the

us roz se apna haal hai ye kabhi hansta hun kabhi rota hun

kuchh bhuli-bisri yaadon ka albela shahr basaya hai

koi waqt mile to aa niklo yahin milta hun yahin rahta hun

kuchh aur baDhe is raste mein anfas-e-rifaqat ki KHushbu

tum sath sahi hamrah sahi main phir bhi tanha tanha hun

main KHak-basar main arsh-nashin main sab kuchh hun main kuchh bhi nahin

main tere guman se patthar hun main tere yaqin se hira hun

(850) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya Baat Nirali Hai Mujh Mein Kis Fan Mein AaKHir Yakta Hun In English By Famous Poet Athar Nafees. Kya Baat Nirali Hai Mujh Mein Kis Fan Mein AaKHir Yakta Hun is written by Athar Nafees. Read famous Poem Kya Baat Nirali Hai Mujh Mein Kis Fan Mein AaKHir Yakta Hun for youth and Student by Athar Nafees. Free Download Kya Baat Nirali Hai Mujh Mein Kis Fan Mein AaKHir Yakta Hun in PDF.