Charagh Hathon Ke Bujh Rahe Hain Sitara Har Rah-guzar Mein Rakh De

charagh hathon ke bujh rahe hain sitara har rah-guzar mein rakh de

utar de chand us ke dar par siyah din mere ghar mein rakh de

kahin kahin koi rabt-e-maKHfi ibarat-e-muntashar mein rakh de

gurez par hain nishan sare taraf bhi koi safar mein rakh de

talab talab aaina-sifat hai KHarab-o-KHasta hain aks sare

ye nekiyan bhi hain sar-barahna latafat-e-KHair shar mein rakh de

nashat-awar hai ye udasi ka ek uDta hua sa lamha

mabaada taq-e-raja ho viran sharara ek chashm-e-tar mein rakh de

ye sarf-o-hasil-gazida duniya na din hi mere na meri raaten

kahan talak dekhta hi jaun samaaten kuchh nazar mein rakh de

mere KHuda mere jism-o-jaan ke KHuda mere hath jhaD na jaen

dua tah-e-sang-e-lab gaDi hai asar zara sa asar mein rakh de

badan hai ya qila-e-hawa hai kahin se aaun kahin se jaun

hazaron raKHne paDe hue hain uTha ke diwar dar mein rakh de

(630) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Charagh Hathon Ke Bujh Rahe Hain Sitara Har Rah-guzar Mein Rakh De In English By Famous Poet Atiiqullah. Charagh Hathon Ke Bujh Rahe Hain Sitara Har Rah-guzar Mein Rakh De is written by Atiiqullah. Read famous Poem Charagh Hathon Ke Bujh Rahe Hain Sitara Har Rah-guzar Mein Rakh De for youth and Student by Atiiqullah. Free Download Charagh Hathon Ke Bujh Rahe Hain Sitara Har Rah-guzar Mein Rakh De in PDF.