Bujhne Lage Nazar To Phir Us Par Dekhna

bujhne lage nazar to phir us par dekhna

dariya chaDhe to naw ki raftar dekhna

is aagahi ke aaina-e-KHud-misal mein

KHud apni zat ko sar-e-paikar dekhna

aaankhon se rat-jagon ki hararat nahin gai

ai yaad-e-yar tishna-e-azar dekhna

honTon pe aa ke jam si gai KHwahish-e-visal

is an-kahi pe lazzat-e-inkar dekhna

hum wo wafa-parast tujhe dekhne ke baad

apni taraf bhi surat-e-diwar dekhna

shaKH o samar to munsif o qatil ke ho gae

ab kis ke sar pe girti hai talwar dekhna

yun hai ki jab bichhaDne lagen dil se dhaDkanen

tab us gali mein subh ke aasar dekhna

ab ye dil o nigah ke bas mein nahin raha

har aaine mein aks-e-ruKH-e-yar dekhna

sahil ko mauj le gai aur us ko baadban

KHawar ab is ke baad na us par dekhna

(1021) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bujhne Lage Nazar To Phir Us Par Dekhna In English By Famous Poet Ayub Khawar. Bujhne Lage Nazar To Phir Us Par Dekhna is written by Ayub Khawar. Read famous Poem Bujhne Lage Nazar To Phir Us Par Dekhna for youth and Student by Ayub Khawar. Free Download Bujhne Lage Nazar To Phir Us Par Dekhna in PDF.