Charagh-e-qurb Ki Lau Se Pighal Gaya Wo Bhi

charagh-e-qurb ki lau se pighal gaya wo bhi

azab-e-hijr se main kya, nikal gaya wo bhi

rida-e-abr-e-jamal-e-hijab kya sarki

ki ang ang sitaron mein Dhal gaya wo bhi

dayar-e-KHwab mein ek shaKHs ham-qadam tha magar

paDa jo waqt to rasta badal gaya wo bhi

ye us ki yaad ka eajaz tha ki ab ke baras

jo waqt hum pe kaDa tha so Tal gaya wo bhi

ajab tilism-e-numu tha wafa ki miTTi mein

hawa-e-hijr chali, phul phal gaya wo bhi

(850) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Charagh-e-qurb Ki Lau Se Pighal Gaya Wo Bhi In English By Famous Poet Ayub Khawar. Charagh-e-qurb Ki Lau Se Pighal Gaya Wo Bhi is written by Ayub Khawar. Read famous Poem Charagh-e-qurb Ki Lau Se Pighal Gaya Wo Bhi for youth and Student by Ayub Khawar. Free Download Charagh-e-qurb Ki Lau Se Pighal Gaya Wo Bhi in PDF.