Hamari Aankh Mein Thahra Hua Samundar Tha

hamari aankh mein Thahra hua samundar tha

magar wo kya tha jo sahra-e-dil ke andar tha

usi ko zulf mein Tanke ye aarzu kyun-kar

wo phul jo ki teri dastaras se bahar tha

wo waqt aaega jab KHud tumhi ye sochogi

mila na hota agar tujh se main to behtar tha

har ek ang labaalab bhara ho jaise jam

tumhaara jism tha ya mai-kade ka manzar tha

use bhi jate hue tum ne mujh se chhin liya

tumhaara gham to meri aarzu ka zewar tha

bahut qarib se dekha tha us ko ai 'azad'

wo aarzu ka meri ek hasin paikar tha

(837) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hamari Aankh Mein Thahra Hua Samundar Tha In English By Famous Poet Azad Gulati. Hamari Aankh Mein Thahra Hua Samundar Tha is written by Azad Gulati. Read famous Poem Hamari Aankh Mein Thahra Hua Samundar Tha for youth and Student by Azad Gulati. Free Download Hamari Aankh Mein Thahra Hua Samundar Tha in PDF.