Har Ek Shikast Ko Ai Kash Is Tarah Main Sahun

har ek shikast ko ai kash is tarah main sahun

fuzun ho aur bhi dil mein teri talab ka fusun

tumhaare jism ki jannat to mil gai hai magar

main apni ruh ki dozaKH ka kya ilaj karun

hansa hun aaj to majbur tha ki tere huzur

mujhe ye Dar tha agar chup raha to ro na paDun

tamam umr na bhaTke kahin tu meri tarah

hun kashmakash mein jo kahna hai wo kahun na kahun

na ab pukar mujhe muddaton ki duri se

tere qarib nahin hun ki teri baat sunun

teri talash ko niklunga is se pahle magar

main teri yaad ke sahra mein KHud ko DhunD to lun

wo dekh le to na roe bina rahe 'azad'

main sochta hun ki ek bar KHud pe yun bhi hansun

(722) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Ek Shikast Ko Ai Kash Is Tarah Main Sahun In English By Famous Poet Azad Gulati. Har Ek Shikast Ko Ai Kash Is Tarah Main Sahun is written by Azad Gulati. Read famous Poem Har Ek Shikast Ko Ai Kash Is Tarah Main Sahun for youth and Student by Azad Gulati. Free Download Har Ek Shikast Ko Ai Kash Is Tarah Main Sahun in PDF.