KHud Hamin Ko Rahaton Ke Kaif Ka Chaska Na Tha

KHud hamin ko rahaton ke kaif ka chaska na tha

zindagi ka zahr warna is qadar kaDwa na tha

us ne tanhai se ghabra kar pukara to nahin

is se pahle to mera dil is tarah dhaDka na tha

hae wo aalam ki un ki bazm mein bhi baiTh kar

main yahi socha kiya main to kabhi tanha na tha

us ke apne hath ruKHsaron ko sahlane lage

go ba-zahir meri babat us ne kuchh socha na tha

har taraf khilti rahin kaliyan nasim-e-subh se

apni qismat mein saba ka ek bhi jhonka na tha

zindagi ai zindagi!! aa do ghaDi mil kar rahen

tujh se mera umr-bhar ka to koi jhagDa na tha

sochte hain ab use 'azad' hum kya nam den

umar ka wo daur dil mein jab koi sauda na tha

(637) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHud Hamin Ko Rahaton Ke Kaif Ka Chaska Na Tha In English By Famous Poet Azad Gulati. KHud Hamin Ko Rahaton Ke Kaif Ka Chaska Na Tha is written by Azad Gulati. Read famous Poem KHud Hamin Ko Rahaton Ke Kaif Ka Chaska Na Tha for youth and Student by Azad Gulati. Free Download KHud Hamin Ko Rahaton Ke Kaif Ka Chaska Na Tha in PDF.