Raushni Phaili To Sab Ka Rang Kala Ho Gaya

raushni phaili to sab ka rang kala ho gaya

kuchh diye aise jale har-su andhera ho gaya

jis ne mera sath chhoDa aur kisi ka ho gaya

sach to ye hai mujh se bhi baDh kar wo tanha ho gaya

waqt ka ye moD kaisa hai ki tujh se mil ke bhi

tujh ko kho dene ka gham kuchh aur gahra ho gaya

hum ne tanhai ki chadar tan li aur so gae

log jab kahne lage uTTho sawera ho gaya

Dubta suraj hun main wo mera saya dekh kar

sochta ye hai qad us ka mujh se lamba ho gaya

chand lamhe the jo barson baad tak bite nahin

kuchh baras wo bhi the jin ka ek lamha ho gaya

jab zaban kholi to sab ko nind si aane lagi

chup hue to yun laga har shaKHs bahra ho gaya

sath us ka chhoD kar aae to ye aalam raha

hum ne jis chehre ko dekha us ka chehra ho gaya

is talluq ko bhala 'azad' main kya nam dun

wo kisi ka ho ke bhi kuchh aur mera ho gaya

(806) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raushni Phaili To Sab Ka Rang Kala Ho Gaya In English By Famous Poet Azad Gulati. Raushni Phaili To Sab Ka Rang Kala Ho Gaya is written by Azad Gulati. Read famous Poem Raushni Phaili To Sab Ka Rang Kala Ho Gaya for youth and Student by Azad Gulati. Free Download Raushni Phaili To Sab Ka Rang Kala Ho Gaya in PDF.