Sahil Pe Ruk Ke Su-e-samundar Na Dekhiye

sahil pe ruk ke su-e-samundar na dekhiye

bahar se apne aap ka manzar na dekhiye

apne wajud hi pe na guzrin kai shokuk

sae ko apne qad ke barabar na dekhiye

jage to mahz ret hi paenge har taraf

gar ho sake to KHwab mein sagar na dekhiye

apne hi sar ke zaKHm ka kuchh kijiye ilaj

aaya hai kis taraf se ye patthar na dekhiye

yakja na karne aaega koi tamam umr

KHush-fahmiyon se KHud mein bikhar kar na dekhiye

phir yun na ho ki apna badan ajnabi lage

behtar hai is ke KHol se bahar na dekhiye

'azad' ji Daraega parchhaiyon ka KHauf

viran nazar se koi bhi manzar na dekhiye

(921) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sahil Pe Ruk Ke Su-e-samundar Na Dekhiye In English By Famous Poet Azad Gulati. Sahil Pe Ruk Ke Su-e-samundar Na Dekhiye is written by Azad Gulati. Read famous Poem Sahil Pe Ruk Ke Su-e-samundar Na Dekhiye for youth and Student by Azad Gulati. Free Download Sahil Pe Ruk Ke Su-e-samundar Na Dekhiye in PDF.