Sarhad-e-jism Se Bahar Kahin Ghar Likkha Tha

sarhad-e-jism se bahar kahin ghar likkha tha

ruh par apni KHalaon ka safar likkha tha

hum bhaTakte rahe sadiyon jise paDhne ke liye

apne andar wo kahin harf-e-hunar likkha tha

aaj un aankhon mein dekha to mila dasht-e-KHala

hum ne jin aankhon mein ek KHwab-nagar likkha tha

apne ghar mein isi ehsas ne jine na diya

apne hathon pe kisi aur ka ghar likkha tha

zindagi ek sulagta hua sahra tha jahan

sab ki aankhon mein sarabon ka bhanwar likkha tha

kaun tha mujh mein ki jis ne mujhe paDhne na diya

mere chehre pe mera nam agar likkha tha

apni hi zat ke haale mein rahe hum 'azad'

an-ginat daeron ka yani safar likkha tha

(625) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sarhad-e-jism Se Bahar Kahin Ghar Likkha Tha In English By Famous Poet Azad Gulati. Sarhad-e-jism Se Bahar Kahin Ghar Likkha Tha is written by Azad Gulati. Read famous Poem Sarhad-e-jism Se Bahar Kahin Ghar Likkha Tha for youth and Student by Azad Gulati. Free Download Sarhad-e-jism Se Bahar Kahin Ghar Likkha Tha in PDF.