Tumhaare Pas Rahen Hum To Maut Bhi Kya Hai

tumhaare pas rahen hum to maut bhi kya hai

magar jo dur kaTe tum se zindagi kya hai

jab uTh ke chal diye tum tirgi umaD aai

jo tum na ho to charaghon ki raushni kya hai

kuchh aise phul bhi guzre hain meri nazron se

jo khil ke bhi na samajh pae zindagi kya hai

bas un ki yaad ke hum panw chum lete hain

hamein KHabar nahin meraj-e-bandagi kya hai

kabhi jo gosh-bar-awaz ho ke us ko suno

tumhein pata bhi chale saz-e-KHamushi kya hai

meri nigah ne kya kya na KHwab dekhe hain

teri nigah ne ek baat si kahi kya hai

hamin ne zulmat-e-hasti mein dil jalae hain

ye hum samajhte hain darman-e-tirgi kya hai

ubhar rahi hai jo rah rah ke dil ki dhaDkan mein

wo aarzu hai ki hai us ki bebasi kya hai

KHizan-nasib hon nazren jo ahl-e-gulshan ki

to phir bahaar ke jalwon ki tazgi kya hai

jahan mein ye kabhi majbur hai kabhi muKHtar

hai ek shoabada 'azad' aadmi kya hai

(901) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tumhaare Pas Rahen Hum To Maut Bhi Kya Hai In English By Famous Poet Azad Gulati. Tumhaare Pas Rahen Hum To Maut Bhi Kya Hai is written by Azad Gulati. Read famous Poem Tumhaare Pas Rahen Hum To Maut Bhi Kya Hai for youth and Student by Azad Gulati. Free Download Tumhaare Pas Rahen Hum To Maut Bhi Kya Hai in PDF.