Umr Bhar Chalte Rahe Hum Waqt Ki Talwar Par

umr bhar chalte rahe hum waqt ki talwar par

parwarish pai hai apne KHun hi ki dhaar par

chahne wale ki ek ghalati se barham ho gaya

faKHr tha kitna use KHud pyar ke mear par

raat gahri meri tanhai ka sagar aur phir

teri yaadon ke sulagte dip har manjdhaar par

sham aai aur sab shaKHon ki galiyan so gain

maut ka saya sa manDlane laga ashjar par

KHalwat-e-shab mein ye aksar sochta kyun hun ki chand

nur ka bosa hai goya raat ke ruKHsar par

sal-e-nau aata hai to mahfuz kar leta hun main

kuchh purane se calender zehn ki diwar par

zindagi aazad pahle yun kabhi tanha na thi

aadmi bahta tha yunhi waqt ki raftar par

(829) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Umr Bhar Chalte Rahe Hum Waqt Ki Talwar Par In English By Famous Poet Azad Gulati. Umr Bhar Chalte Rahe Hum Waqt Ki Talwar Par is written by Azad Gulati. Read famous Poem Umr Bhar Chalte Rahe Hum Waqt Ki Talwar Par for youth and Student by Azad Gulati. Free Download Umr Bhar Chalte Rahe Hum Waqt Ki Talwar Par in PDF.