Sahra Ka Koi Phul Moattar To Nahin Tha

sahra ka koi phul moattar to nahin tha

tha ek chhalawa koi manzar to nahin tha

phir kyun teri taswir Dhali ruh mein meri

afsun teri aankhon ka musawwar to nahin tha

ban kar mera apna wo bana hasrat-e-jawed

tha KHak ka putla hi muqaddar to nahin tha

main bhi teri KHalwat ka koi naz churaata

aisa koi qismat ka sikandar to nahin tha

afsana teri zulf ka ai jaan-e-tamanna

main kaise sunata mujhe azbar to nahin tha

talKHaba-e-dil tha ki hawadis ka sharar tha

fariyaad na karta koi patthar to nahin tha

KHud aag mein apni hi main jalta raha akasr

bargashta main tujh se mere dawar to nahin tha

hum ne bhi 'azim' aaj ghazal teri suni hai

uslub-e-bayan tera muassar to nahin tha

(780) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sahra Ka Koi Phul Moattar To Nahin Tha In English By Famous Poet Azeem Qureshi. Sahra Ka Koi Phul Moattar To Nahin Tha is written by Azeem Qureshi. Read famous Poem Sahra Ka Koi Phul Moattar To Nahin Tha for youth and Student by Azeem Qureshi. Free Download Sahra Ka Koi Phul Moattar To Nahin Tha in PDF.