Surur-e-ishq Ki Masti Kahan Hai Sab Ke Liye

surur-e-ishq ki masti kahan hai sab ke liye

wo mujh mein jazb hua aa ke ek shab ke liye

wo ek karb-e-hasin jo mujhe hua hai ata

na tere ruKH ke liye hai na tere lab ke liye

kabhi to ulTe sar-e-am wo naqab apni

taras rahe hain sabhi baada-e-inab ke liye

tere visal ki kab aarzu rahi dil ko

ki hum ne chaha tujhe shauq-e-be-sabab ke liye

dil-e-hazin ki do-alam nahin baha jis ki

luTaya main ne ise teri ek chhab ke liye

wahi kiran jo sar-e-charKH rah gai tanha

wo sog ban gai taron ke har tarab ke liye

'azim' ishq-e-shah-e-do-sara basa dil mein

wahi ajam ke liye hai wahi arab ke liye

(946) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Surur-e-ishq Ki Masti Kahan Hai Sab Ke Liye In English By Famous Poet Azeem Qureshi. Surur-e-ishq Ki Masti Kahan Hai Sab Ke Liye is written by Azeem Qureshi. Read famous Poem Surur-e-ishq Ki Masti Kahan Hai Sab Ke Liye for youth and Student by Azeem Qureshi. Free Download Surur-e-ishq Ki Masti Kahan Hai Sab Ke Liye in PDF.