Wo ShoKH Dil-o-jaan Ki Tamanna To Na Nikla

wo shoKH dil-o-jaan ki tamanna to na nikla

shoala to na nikla wo sharara to na nikla

mahsus kiya dard ke har rup mein us ko

aawaz ka afsun kabhi jhuTa to na nikla

mahrumi-e-jawed ne donon hi ko mara

ye raaz-e-mohabbat koi gahra to na nikla

ye dil ka KHaraba hi teri rahguzar thi

kaba to na nikla wo kalisa to na nikla

wo mere muqaddar ki syahi tha sarapa

nur-e-shab-e-mahtab sunahra to na nikla

hum bhi kisi shirin ke liye KHana-badar the

farhad rah-e-ishq mein tanha to na nikla

is mein teri KHalwat ka har ek rang hai paya

ye chand sar-e-charKH akela to na nikla

pahle se baDhi aur gham-e-ishq ki talKHi

tu bhi mere dam-saz masiha to na nikla

andaz-e-bayan tera 'azim' aur hi kuchh hai

dekhe sabhi fankar pa tujh sa to na nikla

(732) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo ShoKH Dil-o-jaan Ki Tamanna To Na Nikla In English By Famous Poet Azeem Qureshi. Wo ShoKH Dil-o-jaan Ki Tamanna To Na Nikla is written by Azeem Qureshi. Read famous Poem Wo ShoKH Dil-o-jaan Ki Tamanna To Na Nikla for youth and Student by Azeem Qureshi. Free Download Wo ShoKH Dil-o-jaan Ki Tamanna To Na Nikla in PDF.