Ye Phul Jo MiTTi Ke Hayulon Se ATa Hai

ye phul jo miTTi ke hayulon se aTa hai

mazi ka koi KHwab hai manus sada hai

sukha hua patta hun ki be-Dal paDa hun

kya jaaniye kis ke liye ye jog liya hai

ai KHar-e-chaman-zar munajjim to nahin tu

farda ka har ek raaz tere lab se suna hai

puchho ye sitaron se ki tauzih karen wo

kyun lash pe yun chand ki matam sa bapa hai

dukhte hue dil se kai shahkar nikale

is daur ko hum ne hi ziya-pash kiya hai

jam bhi wahi dara bhi sikandar bhi wahi hai

ji kar bhi tera aur jo mar kar bhi tera hai

tu mujh se gurezan hai to main tujh pe hun qurban

ishwa hai jo wo tera to ye meri ada hai

fankar ne samjha na mughanni hi ne samjha

jo sirr-e-nihan ek qalandar ne kaha hai

main phir bhi 'azim' us ki adaon pe miTa hun

jo marg ka unwan meri hasti ki baqa hai

(820) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Phul Jo MiTTi Ke Hayulon Se ATa Hai In English By Famous Poet Azeem Qureshi. Ye Phul Jo MiTTi Ke Hayulon Se ATa Hai is written by Azeem Qureshi. Read famous Poem Ye Phul Jo MiTTi Ke Hayulon Se ATa Hai for youth and Student by Azeem Qureshi. Free Download Ye Phul Jo MiTTi Ke Hayulon Se ATa Hai in PDF.