Rang Kahan Hai Saya Sa Hai

rang kahan hai saya sa hai

naqsh kahan hai dhoka sa hai

subh ki rangat zardi-mail

sham nahin hai dhaDka sa hai

dil ka KHun hua ho shayad

dur pare jo kohra sa hai

sail-e-ishq thama kab hoga

dariya hai aur chaDhta sa hai

lab us ke jo khulte dekhe

ek jahan kuchh hansta sa hai

asl mein naqsh-e-kaif-e-hasti

fani sa hai miTta sa hai

husn aur ishq hain donon kafir

donon mein ek jhagDa sa hai

aao pyar se dho len us ko

naqsh-e-jahan kuchh maila sa hai

(666) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rang Kahan Hai Saya Sa Hai In English By Famous Poet Azeem Qureshi. Rang Kahan Hai Saya Sa Hai is written by Azeem Qureshi. Read famous Poem Rang Kahan Hai Saya Sa Hai for youth and Student by Azeem Qureshi. Free Download Rang Kahan Hai Saya Sa Hai in PDF.