Tere Baad Koi Bhi Gham Asar Nahin Kar Saka

tere baad koi bhi gham asar nahin kar saka

koi saneha meri aankh tar nahin kar saka

mujhe ilm tha mujhe kam paDegi ye raushni

so main inhisar charagh par nahin kar saka

mujhe jhuT ke wo jawaz pesh kiye gae

kisi baat par main agar-magar nahin kar saka

mujhe chaal chalne mein der ho gai aur main

koi ek mohra idhar-udhar nahin kar saka

kai paikaron ko mere KHayal ne shakl di

jinhen runuma mera kuza-gar nahin kar saka

mere aas-pas ki muflisi meri mazarat

tera intizam main apne ghar nahin kar saka

(1412) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tere Baad Koi Bhi Gham Asar Nahin Kar Saka In English By Famous Poet Azhar Faragh. Tere Baad Koi Bhi Gham Asar Nahin Kar Saka is written by Azhar Faragh. Read famous Poem Tere Baad Koi Bhi Gham Asar Nahin Kar Saka for youth and Student by Azhar Faragh. Free Download Tere Baad Koi Bhi Gham Asar Nahin Kar Saka in PDF.