Us Lab Ki KHamushi Ke Sabab TuTta Hun Main

us lab ki KHamushi ke sabab TuTta hun main

dast-e-dua mein rakkha hua aaina hun main

ab ja ke ho sakegi mohabbat wasuq se

KHud se bichhaDte waqt kisi se mila hun main

aabaad hai KHazane ki afwah se wajud

matruk jangalon ka koi rasta hun main

dastar kaghzi hai fazilat hai nam ki

chhoTon ki mehrbani se ghar mein baDa hun main

ro kar na soya jae to kya nind ka jawaz

bistar ki har shikan mein paDa jagta hun main

hun apni raushni ki aziyyat mein mubtala

jalta hua charagh hun ulTa paDa hun main

(1204) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Us Lab Ki KHamushi Ke Sabab TuTta Hun Main In English By Famous Poet Azhar Faragh. Us Lab Ki KHamushi Ke Sabab TuTta Hun Main is written by Azhar Faragh. Read famous Poem Us Lab Ki KHamushi Ke Sabab TuTta Hun Main for youth and Student by Azhar Faragh. Free Download Us Lab Ki KHamushi Ke Sabab TuTta Hun Main in PDF.