Jaane Aaya Tha Kyun Makan Se Main

jaane aaya tha kyun makan se main

kya KHaridunga is dukan se main

ho gaya apni hi ana se halak

dab gaya apni hi chaTan se main

ek rangin si baghawat par

kaT gaya sare KHandan se main

roz baaton ke tir chhoDta hun

apne ajdad ki kaman se main

mangta hun kabhi laraz ke dua

kabhi laDta hun aasman se main

ai mere dost thak na jaun kahin

teri aawaz ki takan se main

Darta rahta hun KHud bhi 'azhar'-KHan

apne andar ke is paThan se main

(792) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jaane Aaya Tha Kyun Makan Se Main In English By Famous Poet Azhar Inayati. Jaane Aaya Tha Kyun Makan Se Main is written by Azhar Inayati. Read famous Poem Jaane Aaya Tha Kyun Makan Se Main for youth and Student by Azhar Inayati. Free Download Jaane Aaya Tha Kyun Makan Se Main in PDF.