Isko Koi Gham Nahin Hai Jis Ka Ghar Patthar Ka Hai

is ko koi gham nahin hai jis ka ghar patthar ka hai

kya karega tez tufan baam-o-dar patthar ka hai

aise insan se kabhi ummid kya rakhe koi

dekhne mein aadmi hai dil magar patthar ka hai

kaun sa hai shahr jis mein main bhaTak kar aa gaya

raste patthar ke hain aur baam-o-dar patthar ka hai

aa gae hain aag ki zad mein hazaron jhonpaDe

mujh ko lekin hai tasalli apna ghar patthar ka hai

apne daman mein chhupaen kyun nahin bachche inhen

hain sabhi TuTe khilaune phir bhi Dar patthar ka hai

un se ummid-e-wafa rakhna bhi 'nayyar' hai fuzul

be-murawwat sab ke sab hain aur nagar patthar ka hai

(738) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Isko Koi Gham Nahin Hai Jis Ka Ghar Patthar Ka Hai In English By Famous Poet Azhar Naiyyar. Isko Koi Gham Nahin Hai Jis Ka Ghar Patthar Ka Hai is written by Azhar Naiyyar. Read famous Poem Isko Koi Gham Nahin Hai Jis Ka Ghar Patthar Ka Hai for youth and Student by Azhar Naiyyar. Free Download Isko Koi Gham Nahin Hai Jis Ka Ghar Patthar Ka Hai in PDF.