Ji Raha Hun Main Udasi Bhari Taswir Ke Sath

ji raha hun main udasi bhari taswir ke sath

shor karta hun siyah raat mein zanjir ke sath

surKH phulon ki ghani chhanw mein chupke chupke

mujh se milta tha koi ek nai tanwir ke sath

ek teri yaad ki har sans ke nazdik rahi

ek tera dard ki chaspan raha taqdir ke sath

kabhi zaKHmon ka bhi KHanda-e-gul ka mausam

hum pe khulta raha ek dard ki tafsir ke sath

baat aapas ki hai aapas hi mein rahne dije

warna hum surKHiyan ban jaenge tashhir ke sath

aap ki mez pe phir ek naya manzar hai

meri taswir bhi hai aap ki taswir ke sath

dil ke nazdik sar-e-sham-e-alam ai 'nayyar'

zaKHm ke chand chamak uThte hain tanwir ke sath

(771) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ji Raha Hun Main Udasi Bhari Taswir Ke Sath In English By Famous Poet Azhar Naiyyar. Ji Raha Hun Main Udasi Bhari Taswir Ke Sath is written by Azhar Naiyyar. Read famous Poem Ji Raha Hun Main Udasi Bhari Taswir Ke Sath for youth and Student by Azhar Naiyyar. Free Download Ji Raha Hun Main Udasi Bhari Taswir Ke Sath in PDF.