Rah Gaya Dida-e-pur-ab Ka Saman Ho Kar

rah gaya dida-e-pur-ab ka saman ho kar

wo jo rahta tha mere sath meri jaan ho kar

jaane kis shoKH ke aanchal ne shararat ki hai

chand phirta hai sitaron mein pareshan ho kar

aate-jate hue dastak ka takalluf kaisa

apne ghar mein bhi koi aata hai mehman ho kar

ab to mujh ko bhi nahin milti meri koi KHabar

kitna gumnam hua hun main numayan ho kar

wo mere sahn mein utre hain ujale kahiye

sham takti hai dar-o-baam ko hairan ho kar

main ne us shaKHs se sikha hai takallum ka hunar

wo jo mahfil mein bhi rahta tha gurezan ho kar

ujDi ujDi si hawa KHak-ba-sar aati hai

sham utri hai kahin sham-e-ghariban ho kar

ek hangama sa yaadon ka hai dil mein 'azhar'

kitna aabaad hua shahr ye viran ho kar

(702) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rah Gaya Dida-e-pur-ab Ka Saman Ho Kar In English By Famous Poet Azhar Naqvi. Rah Gaya Dida-e-pur-ab Ka Saman Ho Kar is written by Azhar Naqvi. Read famous Poem Rah Gaya Dida-e-pur-ab Ka Saman Ho Kar for youth and Student by Azhar Naqvi. Free Download Rah Gaya Dida-e-pur-ab Ka Saman Ho Kar in PDF.