Kaun Wan Jubba-o-dastar Mein Aa Sakta Hai

kaun wan jubba-o-dastar mein aa sakta hai

ghar ka ghar hi jahan bazar mein aa sakta hai

kis liye KHud ko samajhta hai wo patthar ki lakir

us ka inkar bhi iqrar mein aa sakta hai

mujh ko malum hai dariyaon ka kaf hai tujh mein

tu mere mauja-e-pindar mein aa sakta hai

ai hawa ki tarah aThkheliyan karne wale

bal kabhi waqt ki raftar mein aa sakta hai

sar pe suraj hai to phir chhanw se mahzuz na ho

dhup ka rang bhi diwar mein aa sakta hai

ye jo main apne tain shaeri karta hun 'azim'

kya taKHayyul mera izhaar mein aa sakta hai

(666) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaun Wan Jubba-o-dastar Mein Aa Sakta Hai In English By Famous Poet Azim Haidar Syed. Kaun Wan Jubba-o-dastar Mein Aa Sakta Hai is written by Azim Haidar Syed. Read famous Poem Kaun Wan Jubba-o-dastar Mein Aa Sakta Hai for youth and Student by Azim Haidar Syed. Free Download Kaun Wan Jubba-o-dastar Mein Aa Sakta Hai in PDF.