KHwahish-o-KHwab Ke Aage Bhi Kahin Jaana Hai

KHwahish-o-KHwab ke aage bhi kahin jaana hai

ishq ke bab se aage bhi kahin jaana hai

kyun nahin chhoDti aaKHir mujhe duniya-dari

mal-o-asbab se aage bhi kahin jaana hai

dene wale tu mujhe nind na de KHwab to de

mujh ko mahtab se aage bhi kahin jaana hai

jaane kyun rok rahi hai mujhe ashkon ki qatar

chashm-e-pur-ab se aage bhi kahin jaana hai

kyun lipaTta hai mere sath ye dariya aaKHir

mujh ko girdab se aage bhi kahin jaana hai

(758) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHwahish-o-KHwab Ke Aage Bhi Kahin Jaana Hai In English By Famous Poet Azim Haidar Syed. KHwahish-o-KHwab Ke Aage Bhi Kahin Jaana Hai is written by Azim Haidar Syed. Read famous Poem KHwahish-o-KHwab Ke Aage Bhi Kahin Jaana Hai for youth and Student by Azim Haidar Syed. Free Download KHwahish-o-KHwab Ke Aage Bhi Kahin Jaana Hai in PDF.