Aaj Muqabla Hai SaKHt Mir-e-sipah Ke Liye

aaj muqabla hai saKHt mir-e-sipah ke liye

ho gae sar kai qalam ek kulah ke liye

taza-ruKHi-e-kaenat DhunD rahi hai aaina

justuju hai hazar mein ek gawah ke liye

khul hi gaya tilism-e-dost ain visal mein ki thi

ek shab-e-hijr zindagi lazzat-e-ah ke liye

ek shab-e-KHud-numai mein ismat-e-be-maqam ne

kitne sawal kar liye ramz-e-gunah ke liye

surat-e-gard karwan hai gham-e-manzil-e-jahan

KHwab-e-junun-e-taza-kar chahiye rah ke liye

aatish-e-kimiya-giran kaam na aa saki koi

surma hai KHak-e-dil meri chashm-e-siyah ke liye

meri KHud-agahi bhi ki tere visal ne talab

hijr-e-hazar-shab ke baad ek gunah ke liye

(618) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaj Muqabla Hai SaKHt Mir-e-sipah Ke Liye In English By Famous Poet Aziz Hamid Madni. Aaj Muqabla Hai SaKHt Mir-e-sipah Ke Liye is written by Aziz Hamid Madni. Read famous Poem Aaj Muqabla Hai SaKHt Mir-e-sipah Ke Liye for youth and Student by Aziz Hamid Madni. Free Download Aaj Muqabla Hai SaKHt Mir-e-sipah Ke Liye in PDF.