Aatish-e-mina Nazar Aai Harifana Mujhe

aatish-e-mina nazar aai harifana mujhe

ek taghayyur ki KHabar deta hai paimana mujhe

tishna-e-nazuk mizajaan-e-kanisht-o-dair ka

barhaman kahne bhi de ek-adh afsana mujhe

kis qadar hairat-asar nikli hai marg-e-andalib

is sipas-e-jaan se gul lagta hai begana mujhe

ek KHayal-e-zulf-e-jaanan ek hawa-e-pech-pech

ek na ek zanjir-e-sar rakhti hai diwana mujhe

bosa-e-jaanan mein thi yun to had-e-shukr-o-sipas

chahiye ek larzish-e-lab bhi raqibana mujhe

us ke paikar ki jhalak rahon pe thi nazdik o dur

kal ghurub-e-mahr tha ek aaina-KHana mujhe

shahr jin ke nam se zinda tha wo sab uTh gae

ek ishaare se talab karta hai virana mujhe

(833) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aatish-e-mina Nazar Aai Harifana Mujhe In English By Famous Poet Aziz Hamid Madni. Aatish-e-mina Nazar Aai Harifana Mujhe is written by Aziz Hamid Madni. Read famous Poem Aatish-e-mina Nazar Aai Harifana Mujhe for youth and Student by Aziz Hamid Madni. Free Download Aatish-e-mina Nazar Aai Harifana Mujhe in PDF.