Firaq Se Bhi Gae Hum Visal Se Bhi Gae

firaq se bhi gae hum visal se bhi gae

subuk hue hain to aish-e-malal se bhi gae

jo but-kade mein the wo sahiban-e-kashf-o-kamal

haram mein aae to kashf-o-kamal se bhi gae

usi nigah ki narmi se Dagmagae qadam

usi nigah ke tewar sambhaal se bhi gae

gham-e-hayat o gham-e-dost ki kashakash mein

hum aise log to ranj-o-malal se bhi gae

gul o samar ka to rona alag raha lekin

ye gham ki farq-e-haram-o-halal se bhi gae

wo log jin se teri bazm mein the hangame

gae to kya teri bazm-e-KHayal se bhi gae

hum aise kaun the lekin qafas ki ye duniya

ki par-shikaston mein apni misal se bhi gae

charagh-e-bazm abhi jaan-e-anjuman na bujha

ki ye bujha to tere KHatt-o-KHal se bhi gae

(752) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Firaq Se Bhi Gae Hum Visal Se Bhi Gae In English By Famous Poet Aziz Hamid Madni. Firaq Se Bhi Gae Hum Visal Se Bhi Gae is written by Aziz Hamid Madni. Read famous Poem Firaq Se Bhi Gae Hum Visal Se Bhi Gae for youth and Student by Aziz Hamid Madni. Free Download Firaq Se Bhi Gae Hum Visal Se Bhi Gae in PDF.