Ghalat-bayan Ye Faza Mahr O Kin Darogh Darogh

ghalat-bayan ye faza mahr o kin darogh darogh

sharab lao gham-e-kufr-o-din darogh darogh

hazar naKHl-e-guman hain abhi numud-asar

azal ke din se hai kisht-e-yaqin darogh darogh

hadis-e-rashk-e-raqiban hui hai jis ki nazar

main aur us ki lagan ham-nashin darogh darogh

KHud apni masti-e-pinhan se hath aata hai

shikar-e-nafa-e-ahu-e-chin darogh darogh

main aur shikwa-e-sarai-e-zaKHm-e-be-sababi

tu aur dashna tah-e-astin darogh darogh

zarur koi nazar hai harif-e-KHud-nigari

wo aur bazm mein chin-bar-jabin darogh darogh

malul kuchh gham-e-baalidgi se hai warna

sirisht-e-gul ko malal-e-zamin darogh darogh

sadaen din tujhe KHalq-e-KHuda ne maqtal se

teri gali mein KHabar tak nahin darogh darogh

(595) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghalat-bayan Ye Faza Mahr O Kin Darogh Darogh In English By Famous Poet Aziz Hamid Madni. Ghalat-bayan Ye Faza Mahr O Kin Darogh Darogh is written by Aziz Hamid Madni. Read famous Poem Ghalat-bayan Ye Faza Mahr O Kin Darogh Darogh for youth and Student by Aziz Hamid Madni. Free Download Ghalat-bayan Ye Faza Mahr O Kin Darogh Darogh in PDF.