Haram Ka Aaina Barson Se Dhundla Bhi Hai Hairan Bhi

haram ka aaina barson se dhundla bhi hai hairan bhi

ek afsun-e-barahman hai ki paida bhi hai pinhan bhi

na ja ai naKHuda dariya ki aahista-KHirami par

isi dariya mein KHwabida hai mauj-e-tund jaulan bhi

kamal-e-jaan-nisari ho gai hai KHak parwana

use iksir bhi kahte hain aur KHak-e-pareshan bhi

wida-e-shab bhi hai aur shama par ek bankpan bhi hai

hadis-e-shauq bhi hai qissa-e-umr-e-gurezan bhi

na aai yaad teri ye bhi mausam ka taghayyur tha

ye kusht-e-shauq thi parwarda-ha-e-baad-o-baran bhi

ye duniya hai to kya ai ham-nafas tafsir-e-gham kije

wahi aadab-e-mahfil bhi wahi aadab-e-zindan bhi

shua-e-mehr hai ya iltizam-e-zaKHm-o-marham hai

ye dagh-e-lala bhi hai shola-e-lal-e-badaKHshan bhi

(930) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Haram Ka Aaina Barson Se Dhundla Bhi Hai Hairan Bhi In English By Famous Poet Aziz Hamid Madni. Haram Ka Aaina Barson Se Dhundla Bhi Hai Hairan Bhi is written by Aziz Hamid Madni. Read famous Poem Haram Ka Aaina Barson Se Dhundla Bhi Hai Hairan Bhi for youth and Student by Aziz Hamid Madni. Free Download Haram Ka Aaina Barson Se Dhundla Bhi Hai Hairan Bhi in PDF.