TalKH-tar Aur Zara Baada-e-safi Saqi

talKH-tar aur zara baada-e-safi saqi

mere sine mein KHas-o-KHar hain kafi saqi

zulmat o nur ko pyalon mein samo deti hai

sham paDte hi teri chashm-e-ghilafi saqi

zahr ka jam hi de zahr bhi hai aab-e-hayat

KHushk-sali ki to ho jae talafi saqi

nashsha-e-mai se zara zaKHm ke Tanke TuTe

ta-abad silsila-e-sina-shigafi saqi

zindagani ka maraz kam nahin hone pata

ye maraz kam na ho allah hai shafi saqi

kaT di gardish-e-ayyam ki zanjir us ne

kaun hai gardish-e-mina ke munafi saqi

ek kaf-e-ju hai mata-e-KHirad o sikka-e-hosh

jam-e-mai de ki ye aalam hai izafi saqi

(713) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

TalKH-tar Aur Zara Baada-e-safi Saqi In English By Famous Poet Aziz Hamid Madni. TalKH-tar Aur Zara Baada-e-safi Saqi is written by Aziz Hamid Madni. Read famous Poem TalKH-tar Aur Zara Baada-e-safi Saqi for youth and Student by Aziz Hamid Madni. Free Download TalKH-tar Aur Zara Baada-e-safi Saqi in PDF.