Husn-e-alam-soz Na-mahdud Hona Chahiye

husn-e-alam-soz na-mahdud hona chahiye

har tajalli aaftab-alud hona chahiye

husn-e-niyyat hai dalil-e-husn anjam-e-amal

sai mein bhi jalwa-e-maqsud hona chahiye

ek hi jalwa hai jab hangama-ara-e-shuhud

phir wahi shahid wahi mashhud hona chahiye

husn-e-alam-soz ka faiz-e-tajalli aam hai

ek ek zarra yahan masjud hona chahiye

shana-o-aina kya ai zulf-e-mushkin-e-ayaz

teri zinat ko dil-e-mahmud hona chahiye

be-niyazi ab KHata-karon ki himmat baDh gai

bab-e-tauba kuchh dinon masdud hona chahiye

kawish-e-mizhgan ka paiham taqaza hai 'aziz'

har-nafas ko tere KHun-alud hona chahiye

(781) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Husn-e-alam-soz Na-mahdud Hona Chahiye In English By Famous Poet Aziz Lakhnavi. Husn-e-alam-soz Na-mahdud Hona Chahiye is written by Aziz Lakhnavi. Read famous Poem Husn-e-alam-soz Na-mahdud Hona Chahiye for youth and Student by Aziz Lakhnavi. Free Download Husn-e-alam-soz Na-mahdud Hona Chahiye in PDF.