Is Wahm Ki Intiha Nahin Hai

is wahm ki intiha nahin hai

sab kuchh hai magar KHuda nahin hai

kya is ka suragh koi pae

jis chiz ki ibtida nahin hai

khulta hi nahin fareb-e-hasti

kuchh bhi nahin aur kya nahin hai

is tarah sitam wo kar rahe hain

jaise mera KHuda nahin hai

tum KHush ho to hai mujhe nadamat

har-chand meri KHata nahin hai

dekho to nigah-e-wapsin ko

is ek nazar mein kya nahin hai

duniya ka bharam na khol ai aah

ye raaz abhi khula nahin hai

har zarra hai shahid-e-tajalli

is husn ki intiha nahin hai

sargarm-e-talash rahne wale

tera bhi kahin pata nahin hai

umDa hai jo dil 'aziz' ro lo

aansu koi rokta nahin hai

(742) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Is Wahm Ki Intiha Nahin Hai In English By Famous Poet Aziz Lakhnavi. Is Wahm Ki Intiha Nahin Hai is written by Aziz Lakhnavi. Read famous Poem Is Wahm Ki Intiha Nahin Hai for youth and Student by Aziz Lakhnavi. Free Download Is Wahm Ki Intiha Nahin Hai in PDF.