Jite Hain Kaise Aisi Misalon Ko Dekhiye

jite hain kaise aisi misalon ko dekhiye

parda uTha ke chahne walon ko dekhiye

kya dil jigar hai chahne walon ko dekhiye

mere sukut apne sawalon ko dekhiye

ab bhi hain aise log ki jin se sabaq mile

dil murda hai to zinda misalon ko dekhiye

kya dekhte hain aap bahaar-e-numu abhi

jab eDiyon tak aaen to baalon ko dekhiye

tabqe zamin ke hon ki hon auraq-e-asman

qudrat ke dil-fareb risalon ko dekhiye

himmat ko dekhiye ki wahi mard-e-kar hai

faujon ko dekhiye na risalon ko dekhiye

taqlid kyun KHayal o zaban mein kisi ki ho

apne KHayal apne maqalon ko dekhiye

dushman pe bhi nigah rahe aib-bin hai wo

ye kya ki sirf chahne walon ko dekhiye

saqi ki chashm-e-mast ka nazzara kijiye

sahba ko dekhiye na piyalon ko dekhiye

dil dekhiye ki takmila-e-shauq ho 'aziz'

masjid ko dekhiye na shiwalon ko dekhiye

(885) Peoples Rate This


Fatal error: Uncaught PDOException: SQLSTATE[42S22]: Column not found: 1054 Unknown column 'id' in 'ORDER BY' in /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php:544 Stack trace: #0 /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php(544): PDOStatement->execute() #1 {main} thrown in /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php on line 544