Jite Hain Kaise Aisi Misalon Ko Dekhiye

jite hain kaise aisi misalon ko dekhiye

parda uTha ke chahne walon ko dekhiye

kya dil jigar hai chahne walon ko dekhiye

mere sukut apne sawalon ko dekhiye

ab bhi hain aise log ki jin se sabaq mile

dil murda hai to zinda misalon ko dekhiye

kya dekhte hain aap bahaar-e-numu abhi

jab eDiyan tak aaen to baalon ko dekhiye

tabqe zamin ke hon ki auraq-e-asman

qudrat ke dil-fareb risalon ko dekhiye

himmat ko dekhiye ki wahi mard-e-kar hai

faujon ko dekhiye na risalon ko dekhiye

taqlid kyun KHayal-o-zaban mein kisi ki ho

apne KHayal apne maqalon ko dekhiye

dushman pe bhi nigah rahe aib mein hai wo

ye kya ki sirf chahne walon ko dekhiye

ho sarsari na gor-e-ghariban pe ek nazar

un ke dimagh un ke KHayalon ko dekhiye

saqi ki chashm-e-mast ka nazzara kijiye

sahba ko dekhiye na piyalon ko dekhiye

dil dekhiye ki takmila-e-shauq ho 'aziz'

masjid ko dekhiye na shiwalon ko dekhiye

(717) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jite Hain Kaise Aisi Misalon Ko Dekhiye In English By Famous Poet Aziz Lakhnavi. Jite Hain Kaise Aisi Misalon Ko Dekhiye is written by Aziz Lakhnavi. Read famous Poem Jite Hain Kaise Aisi Misalon Ko Dekhiye for youth and Student by Aziz Lakhnavi. Free Download Jite Hain Kaise Aisi Misalon Ko Dekhiye in PDF.