Ye Kis Maqam Pe Laya Gaya KHudaya Mujhe

ye kis maqam pe laya gaya KHudaya mujhe

ki aaj raund ke guzra hai mera saya mujhe

main jaise waqt ke hathon mein ek KHazana tha

kisi ne kho diya mujh ko kisi ne paya mujhe

na jaane kaun hun kis lamha-e-talab mein hun

'nabil' chain se jina kabhi na aaya mujhe

main ek lamha tha aur nind ke hisar mein tha

phir ek roz kisi KHwab ne jagaya mujhe

usi zamin ne sitara kiya hai mera wajud

samajh rahe hain zamin wale kyun paraya mujhe

jahan ki sadiyon ki KHamoshiyan sulagti hain

kisi KHayal ki wahshat ne gungunaya mujhe

ek aarzu ke taaqub mein yun hua hai 'nabil'

hawa ne ret ki palkon pe la biThaya mujhe

(894) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Kis Maqam Pe Laya Gaya KHudaya Mujhe In English By Famous Poet Aziz Nabeel. Ye Kis Maqam Pe Laya Gaya KHudaya Mujhe is written by Aziz Nabeel. Read famous Poem Ye Kis Maqam Pe Laya Gaya KHudaya Mujhe for youth and Student by Aziz Nabeel. Free Download Ye Kis Maqam Pe Laya Gaya KHudaya Mujhe in PDF.