Faza Ka Rang Nikharta Dikhai Deta Hai

faza ka rang nikharta dikhai deta hai

hai shab tamam ki sapna dikhai deta hai

lahu ka rang hai miT kar bhi rang laega

ufuq ka rang sunahra dikhai deta hai

wo jis ne dhup ke mele ko chhat muhayya ki

saDak pe us ka basera dikhai deta hai

main kaun hun ki hai sab kanch ka wajud mera

mera libas bhi maila dikhai deta hai

sarab lab pe sajae har ek phirta hai

mujhe to shahr bhi sahra dikhai deta hai

tane ko chhoD ke patton ko thamne walo

tumhein shajar bhi tamasha dikhai deta hai

abhi se kashtiyan sahil pe le chale logo

abhi se tum ko kinara dikhai deta hai

wo saunp jata hai mujh ko hawa ke hathon mein

usi ka mujh ko sahaara dikhai deta hai

(911) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Faza Ka Rang Nikharta Dikhai Deta Hai In English By Famous Poet Azra Waheed. Faza Ka Rang Nikharta Dikhai Deta Hai is written by Azra Waheed. Read famous Poem Faza Ka Rang Nikharta Dikhai Deta Hai for youth and Student by Azra Waheed. Free Download Faza Ka Rang Nikharta Dikhai Deta Hai in PDF.