Ghubar-e-jaan Pas-e-diwar-o-dar SameTa Hai

ghubar-e-jaan pas-e-diwar-o-dar sameTa hai

dayar-e-sang mein shishe ka ghar sameTa hai

samundaron mein bhi suraj ne bo diye hain sarab

gae the sip uThane bhanwar sameTa hai

saubaton ki koi had na aaKHiri dekhi

har ek rah mein zad-e-safar sameTa hai

mohabbaton ne diya hai sadaqaton ka shuur

bikhar gaya hai jab ek bar ghar sameTa hai

hawa ke sath safar mein qabahaten thin bahut

misal-e-abr bikharta nagar sameTa hai

andheri raat mein suraj ki justuju ki hai

hawaon mein bhi charagh-e-nazar sameTa hai

jo shaKH shaKH parindon ka aashiyana tha

wo barg barg purana shajar sameTa hai

numu ke rab kabhi us munsifi ki dad to de

shajar koi na lagaya samar sameTa hai

(849) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghubar-e-jaan Pas-e-diwar-o-dar SameTa Hai In English By Famous Poet Azra Waheed. Ghubar-e-jaan Pas-e-diwar-o-dar SameTa Hai is written by Azra Waheed. Read famous Poem Ghubar-e-jaan Pas-e-diwar-o-dar SameTa Hai for youth and Student by Azra Waheed. Free Download Ghubar-e-jaan Pas-e-diwar-o-dar SameTa Hai in PDF.