Gire Qatron Mein Patthar Par Sada Aisa Bhi Hota Hai

gire qatron mein patthar par sada aisa bhi hota hai

bhala ho kar bhala nam-e-KHuda aisa bhi hota hai

dilon mein talKHiyan phir bhi nazar mein muskurahaT ho

bala ke habs mein bhi ho hawa aisa bhi hota hai

main KHud se ajnabi ho kar qaba-e-KHush-dili pahnun

mere andar rahe koi chhupa aisa bhi hota hai

kanar-e-ab-e-dajla dhup tapti ho qayamat ki

har ek zarra bane karb-o-bala aisa bhi hota hai

kabhi tanhaiyon mein KHud-kalami aur phir hansna

mujhe ras aae ye aab-o-hawa aisa bhi hota hai

sabhi paDh kar phir apni rah ho lete hain basti mein

sar-e-diwar kuchh mubham likha aisa bhi hota hai

bacha lun nuh ke beDe ko tufanon ki shiddat se

baDha bahr-e-madad KHud kibriya aisa bhi hota hai

(964) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gire Qatron Mein Patthar Par Sada Aisa Bhi Hota Hai In English By Famous Poet Azra Waheed. Gire Qatron Mein Patthar Par Sada Aisa Bhi Hota Hai is written by Azra Waheed. Read famous Poem Gire Qatron Mein Patthar Par Sada Aisa Bhi Hota Hai for youth and Student by Azra Waheed. Free Download Gire Qatron Mein Patthar Par Sada Aisa Bhi Hota Hai in PDF.