Hawa Ke Lab Pe Nae Intisab Se Kuchh Hain

hawa ke lab pe nae intisab se kuchh hain

ki shaKH-e-wasl pe taza gulab se kuchh hain

ye pal ka qissa hai sadiyon pe jo muhit raha

bar-ab saat-e-guzaran habab se kuchh hain

hujum hum ko sar aankhon pe kyun biThae raha

dil-o-nazar pe hamare azab se kuchh hain

lahu rulate hain aur phir bhi yaad aate hain

mohabbaton ke purane nisab se kuchh hain

utarte rahte hain aankhon ke aainon pe sada

kitab-e-KHasta mein gum-gashta bab se kuchh hain

siwae tishnagi kuchh aur de sake na hamein

jo zer-e-ab chamakte sarab se kuchh hain

mudam un ko chamakna baghair KHauf-e-fana

ye aasman pe jo be-hisab se kuchh hain

(887) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hawa Ke Lab Pe Nae Intisab Se Kuchh Hain In English By Famous Poet Azra Waheed. Hawa Ke Lab Pe Nae Intisab Se Kuchh Hain is written by Azra Waheed. Read famous Poem Hawa Ke Lab Pe Nae Intisab Se Kuchh Hain for youth and Student by Azra Waheed. Free Download Hawa Ke Lab Pe Nae Intisab Se Kuchh Hain in PDF.