Samundar Ka Tamasha Kar Raha Hun

samundar ka tamasha kar raha hun

main sahil ban ke pyasa mar raha hun

agarche dil mein sahra ki tapish hai

magar main Dubne se Dar raha hun

main apne ghar ki har shai ko jala kar

shabistanon ko raushan kar raha hun

wahi lae mujhe dar-o-rasan par

main jin logon ka paighambar raha hun

wahi patthar laga hai mere sar par

azal se jis ko sajde kar raha hun

tarashe shahr main ne 'baKHsh' kya kya

magar KHud ta-abad be-ghar raha hun

(805) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Samundar Ka Tamasha Kar Raha Hun In English By Famous Poet Bakhsh Layalpuri. Samundar Ka Tamasha Kar Raha Hun is written by Bakhsh Layalpuri. Read famous Poem Samundar Ka Tamasha Kar Raha Hun for youth and Student by Bakhsh Layalpuri. Free Download Samundar Ka Tamasha Kar Raha Hun in PDF.