Tishnagi-e-lab Pe Hum Aks-e-ab Likkhenge

tishnagi-e-lab pe hum aks-e-ab likkhenge

jin ka ghar nahin koi ghar ke KHwab likhenge

tum ko kya KHabar is ki zindagi pe kya biti

zindagi ke zaKHmon par hum kitab likkhenge

jis hawa ne kaTi hain KHamushi ki zanjiren

us hawa ke lahje ko inqalab likkhenge

jhuT ki parastish mein umr jin ki guzri hai

tirgi-e-shab ko wo aaftab likkhenge

sher ki sadaqat par hum yaqin rakhte hain

maslahat ke chehron ko ba-naqab likkhenge

suliyon pe jhulega bad-nihad har munsif

munsifi ka jab bhi hum KHud nisab likkhenge

gham nahin jo KHwabon ki luT gai hain tabiren

hum nazar ke taqon mein aur KHwab likkhenge

hirz-e-jaan samajhte hain hum watan ki miTTi ko

apne ghar ke KHaron ko hum gulab likkhenge

is ghazal ke partaw mein be-gharon ki baaten hain

be-gharon ke nam is ka intisab likkhenge

har dalil kaTenge hum dalil-e-raushan se

'baKHsh' sau sawalon ka ek jawab likkhenge

(1121) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tishnagi-e-lab Pe Hum Aks-e-ab Likkhenge In English By Famous Poet Bakhsh Layalpuri. Tishnagi-e-lab Pe Hum Aks-e-ab Likkhenge is written by Bakhsh Layalpuri. Read famous Poem Tishnagi-e-lab Pe Hum Aks-e-ab Likkhenge for youth and Student by Bakhsh Layalpuri. Free Download Tishnagi-e-lab Pe Hum Aks-e-ab Likkhenge in PDF.