Sair Mein Teri Hai Bulbul Bostan Be-kar Hai

sair mein teri hai bulbul bostan be-kar hai

bostan ghairat se KHud ujDa KHizan be-kar hai

chhoD kar aansu ko laKHt-e-dil gaya ham-rah-e-ah

naw KHushki mein chali aab-e-rawan be-kar hai

gah zamin se baam par hun baam se gah bar zamin

is tapish se apne ghar ki nardban be-kar hai

aai ab fasl-e-gul aur mujh andalib-e-zar ka

hai nasheman shaKH-e-gul par aashiyan be-kar hai

yar se aur hum se mahfil mein bacha kar chashm-e-ghair

hai suKHan ima mein baham aur zaban be-kar hai

mere Dar se tu ne biThlaya tha dar par pasban

so main hasrat se mua ab pasban be-kar hai

KHalq ko mare hai chashm us ki muattal hai qaza

fitna hai us ki nigah mein aasman be-kar hai

mangta hun bosa main jis dam to us dam yar ke

kar mein lab par nahin hai dil mein han be-kar hai

kar-farma dekh kar ghairon pe main us se kaha

kar hai mujh se bhi kuchh bola ki han be-kar hai

ai 'baqa'-e-karwan is reKHte ki har radif

garche hai be-kar par batla kahan be-kar hai

(683) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sair Mein Teri Hai Bulbul Bostan Be-kar Hai In English By Famous Poet Baqaullah 'Baqa'. Sair Mein Teri Hai Bulbul Bostan Be-kar Hai is written by Baqaullah 'Baqa'. Read famous Poem Sair Mein Teri Hai Bulbul Bostan Be-kar Hai for youth and Student by Baqaullah 'Baqa'. Free Download Sair Mein Teri Hai Bulbul Bostan Be-kar Hai in PDF.