Sikha Jo Qalam Se Na-e-Khaali Ka Bajaana

sikha jo qalam se na-e-KHali ka bajaana

kar naghma 'baqa' fikrat-e-ali ka bajaana

tasma mere mat dil pe diwali ka bajaana

ye laT jo hai chabuk usi kali ka bajaana

mara kiye mutrib ba-chugan dil pe thapeDe

sikhe isi table pe wo tali ka bajaana

ulfat mein teri ai but-e-be-mehr-o-mohabbat

aaya hamein ek hath se tali ka bajaana

le mol mere dil ka wo jab saghar-e-nazuk

yaad aawe na kash us ko sifali ka bajaana

is nala-e-be-saut ne hairat mein sikhaya

saz ab mujhe taswir-e-nihali ka bajaana

bas ai gham-e-ghammaz meri aah-e-jigar se

lanat hai tera baam pe thaali ka bajaana

be-saqi-o-mai soch mein hai kaam hamara

baiThe sir-e-naKHun se pyali ka bajaana

is kudak-e-be-hosh ka aafat hai shab uTh kar

Thekon pe meri aah ke tali ka bajaana

sunta hun kisi poch ki jab daf-zani-e-fikr

aata hai mujhe yaad Dafali ka bajaana

karta hai 'baqa' nala to kar jhanj mein dil se

be-jhanj hai kya is daf-e-KHali ka bajaana

(861) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sikha Jo Qalam Se Na-e-Khaali Ka Bajaana In English By Famous Poet Baqaullah 'Baqa'. Sikha Jo Qalam Se Na-e-Khaali Ka Bajaana is written by Baqaullah 'Baqa'. Read famous Poem Sikha Jo Qalam Se Na-e-Khaali Ka Bajaana for youth and Student by Baqaullah 'Baqa'. Free Download Sikha Jo Qalam Se Na-e-Khaali Ka Bajaana in PDF.