Sipah-e-ishrat Pe Fauj-e-gham Ne Jo Mil Ke Markab Baham UThae

sipah-e-ishrat pe fauj-e-gham ne jo mil ke markab baham uThae

idhar to nale ka tasha kaDka udhar fughan ne alam uThae

is ashk o laKHt-e-jigar se ek hi faqat na mardum ko faeda hai

jo dur ke role adad kisi ne to lal ke bhi raqam uThae

sabab raqibon ke bazm mein ab gai wo aapas ki ham-nashini

hum aan baiThe to uTh gaya wo wo aan baiTha to hum uTh aae

tahi-kaf aae the hum adam se chale bhi yan se to dast-e-KHali

na tosha wan se liya tha zar ka na sath yan se diram uThae

'baqa' jo rahi hue adam ke to waqfa hargiz karo na dam ka

ye rah hasti ki pur-KHatar hai chalo yahan se qadam uThae

(675) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sipah-e-ishrat Pe Fauj-e-gham Ne Jo Mil Ke Markab Baham UThae In English By Famous Poet Baqaullah 'Baqa'. Sipah-e-ishrat Pe Fauj-e-gham Ne Jo Mil Ke Markab Baham UThae is written by Baqaullah 'Baqa'. Read famous Poem Sipah-e-ishrat Pe Fauj-e-gham Ne Jo Mil Ke Markab Baham UThae for youth and Student by Baqaullah 'Baqa'. Free Download Sipah-e-ishrat Pe Fauj-e-gham Ne Jo Mil Ke Markab Baham UThae in PDF.